wahi na milne ka gham aur wahi gila hoga
vahī na milne kā ġham aur vahī gilā hogā
maiñ jāntā huuñ mujhe us ne kyā likhā hogā
kivāḌoñ par likhī abjad gavāhī detī hai
vo haft-rañgī kahīñ chaak DhūñDhtā hogā
purāne vaqtoñ kā hai qasr zindagī merī
tumhārā naam bhī is meñ kahīñ likhā hogā
chubhan ye piiTh meñ kaisī hai muḌ ke dekh to le
kahīñ koī tujhe pīchhe se dekhtā hogā
galī ke moḌ se ghar tak añdherā kyuuñ hai 'nizām'
charāġh yaad kā us ne bujhā diyā hogā
wahi na milne ka gham aur wahi gila hoga
main jaanta hun mujhe us ne kya likha hoga
kiwaDon par likhi abjad gawahi deti hai
wo haft-rangi kahin chaak DhunDhta hoga
purane waqton ka hai qasr zindagi meri
tumhaara nam bhi is mein kahin likha hoga
chubhan ye piTh mein kaisi hai muD ke dekh to le
kahin koi tujhe pichhe se dekhta hoga
gali ke moD se ghar tak andhera kyun hai 'nizam'
charagh yaad ka us ne bujha diya hoga
- Book : Rasta Ye Kahin Nahin Jata (Pg. 18)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vagdevi Publication (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.