wahi rang-e-ruKH pe malal tha ye pata na tha
vahī rañg-e-ruḳh pe malāl thā ye pata na thā
mirā ġham bhī shāmil-e-hāl thā ye pata na thā
vahī shaam āḳhirī shaam thī ye ḳhabar na thī
vahī vaqt vaqt-e-zavāl thā ye pata na thā
mujhe kar gayā jo tahī tahī bhare shahr meñ
vo mirā hī dast-e-savāl thā ye pata na thā
mujhe but banā ke chale ga.e ki na ro sakūñ
unheñ merā itnā ḳhayāl thā ye pata na thā
vo havā-e-marg thī jis se dil kā diyā bujhā
mire dil kā bujhnā kamāl thā ye pata na thā
maiñ 'mujībī' DhūñDūñ kahāñ use vo kahāñ mile
vo to aap apnī misāl thā ye pata na thā
wahi rang-e-ruKH pe malal tha ye pata na tha
mera gham bhi shamil-e-haal tha ye pata na tha
wahi sham aaKHiri sham thi ye KHabar na thi
wahi waqt waqt-e-zawal tha ye pata na tha
mujhe kar gaya jo tahi tahi bhare shahr mein
wo mera hi dast-e-sawal tha ye pata na tha
mujhe but bana ke chale gae ki na ro sakun
unhen mera itna KHayal tha ye pata na tha
wo hawa-e-marg thi jis se dil ka diya bujha
mere dil ka bujhna kamal tha ye pata na tha
main 'mujibi' DhunDun kahan use wo kahan mile
wo to aap apni misal tha ye pata na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.