wahi riwayat gazida-danish wahi hikayat kitab wali
vahī rivāyat gazīda-dānish vahī hikāyat kitāb vaalī
rahī haiñ bas zer-e-dars tere kitābeñ pichhle nisāb vaalī
maiñ apne lafzoñ ko apne fan ke lahū se sarsabz karne vaalā
mirā shu.ūr ijtihād vaalā mirī nazar ehtisāb vaalī
chalo zarā dostoñ se mil leñ kise ḳhabar is kī phir kab aa.e
ye sub.h-e-gulgūñ ḳhayāl vaalī ye mushkbū-shām ḳhvāb vaalī
misāl mujh gum-shuda nafas kī hai aisī hī jaise koī bachcha
purāne baste meñ rakh ke phir bhuul jaa.e copy hisāb vaalī
mire liye to tirā ilāqa hai shahr-e-mamnūa jaisā lekin
khañDar khañDar zindagī ko maiñ ne galī dikhā dī gulāb vaalī
mire ye afkār tere fikr-o-nazar kī tathīr haiñ mirī jaañ
maiñ hikmateñ tujh ko de rahā huuñ vahī ḳhudā kī kitāb vaalī
'fazā' ki darvesh-e-harf hai dekhnā zarā us kā bāñkpan tum
qamīs ḳhurshīd-baḳht vaalī kulāh gardūñ-rikāb vaalī
wahi riwayat gazida-danish wahi hikayat kitab wali
rahi hain bas zer-e-dars tere kitaben pichhle nisab wali
main apne lafzon ko apne fan ke lahu se sarsabz karne wala
mera shuur ijtihad wala meri nazar ehtisab wali
chalo zara doston se mil len kise KHabar is ki phir kab aae
ye subh-e-gulgun KHayal wali ye mushkbu-sham KHwab wali
misal mujh gum-shuda nafas ki hai aisi hi jaise koi bachcha
purane baste mein rakh ke phir bhul jae copy hisab wali
mere liye to tera ilaqa hai shahr-e-mamnua jaisa lekin
khanDar khanDar zindagi ko main ne gali dikha di gulab wali
mere ye afkar tere fikr-o-nazar ki tathir hain meri jaan
main hikmaten tujh ko de raha hun wahi KHuda ki kitab wali
'faza' ki darwesh-e-harf hai dekhna zara us ka bankpan tum
qamis KHurshid-baKHt wali kulah gardun-rikab wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.