Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi shikasta cycle wahi udas zindagi

Sohail Azad

wahi shikasta cycle wahi udas zindagi

Sohail Azad

MORE BYSohail Azad

    vahī shikasta cycle vahī udaas zindagī

    tire liye to kuchh nahīñ hamāre paas zindagī

    ye koh-o-dasht-o-rahguzār DhūñDte rahe tujhe

    kise ḳhabar ki hai kahāñ tirā nivās zindagī

    ajiib mas.aloñ meñ hai hayāt-e-jāvidāñ mirī

    yaqīn lā-vajūdiyat magar qayās zindagī

    tujhe to sabz jañgaloñ rañg-o-bū se vāsta

    tirī giraft meñ kahāñ ye sabz ghaas zindagī

    hameñ bhī ghun lagā ga.ī umīd-e-be-karāñ tirī

    tujhe bhī chāTtī rahī hamārī aas zindagī

    wahi shikasta cycle wahi udas zindagi

    tere liye to kuchh nahin hamare pas zindagi

    ye koh-o-dasht-o-rahguzar DhunDte rahe tujhe

    kise KHabar ki hai kahan tera niwas zindagi

    ajib masalon mein hai hayat-e-jawidan meri

    yaqin la-wajudiyat magar qayas zindagi

    tujhe to sabz jangalon ki rang-o-bu se wasta

    teri giraft mein kahan ye sabz ghas zindagi

    hamein bhi ghun laga gai umid-e-be-karan teri

    tujhe bhi chaTti rahi hamari aas zindagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now