wahi thi kal bhi pasand aur wahi hai aaj pasand
vahī thī kal bhī pasand aur vahī hai aaj pasand
alag mizāj hai merā alag mizāj pasand
maiñ kyā karūñ ki mirī soch muḳhtalif hai bahut
maiñ kyā karūñ mujhe aayā nahīñ samāj pasand
maiñ apnī raah nikālūñgā apnī marzī se
mujhe nahīñ haiñ zamāne tire rivāj pasand
ye merā dil mirī āñkheñ ye mere ḳhvāb azaab
uThā ai ishq tujhe jo bhī hai ḳhirāj pasand
mahāz-e-ishq pe ḳhud hī shikast maanī hai
'zubair' dil pe huā hai kisī kā raaj pasand
wahi thi kal bhi pasand aur wahi hai aaj pasand
alag mizaj hai mera alag mizaj pasand
main kya karun ki meri soch muKHtalif hai bahut
main kya karun mujhe aaya nahin samaj pasand
main apni rah nikalunga apni marzi se
mujhe nahin hain zamane tere riwaj pasand
ye mera dil meri aankhen ye mere KHwab azab
uTha ai ishq tujhe jo bhi hai KHiraj pasand
mahaz-e-ishq pe KHud hi shikast mani hai
'zubair' dil pe hua hai kisi ka raj pasand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.