wahi yaksaniyat-e-sham-o-sahar hai ki jo thi
vahī yaksāniyat-e-shām-o-sahar hai ki jo thī
zindagī dast-ba-dil ḳhāk-basar hai ki jo thī
dekh kar bhī tire jalve nahīñ dekhe jaate
vahī pābandī-e-ādāb-e-nazar hai ki jo thī
tujh se mil kar bhī ġham-e-hijr kī talḳhī na miTī
ek hasrat sī ye andāz-e-digar hai ki jo thī
sho.ala-e-dard bujhe der huī hai lekin
vahī tābindagī-e-dīda-e-tar hai ki jo thī
tū mirī jaan nahīñ ab magar ai jān-e-'azīm'
zindagī ab bhī tirī dast-nigar hai ki jo thī
wahi yaksaniyat-e-sham-o-sahar hai ki jo thi
zindagi dast-ba-dil KHak-basar hai ki jo thi
dekh kar bhi tere jalwe nahin dekhe jate
wahi pabandi-e-adab-e-nazar hai ki jo thi
tujh se mil kar bhi gham-e-hijr ki talKHi na miTi
ek hasrat si ye andaz-e-digar hai ki jo thi
shoala-e-dard bujhe der hui hai lekin
wahi tabindagi-e-dida-e-tar hai ki jo thi
tu meri jaan nahin ab magar ai jaan-e-'azim'
zindagi ab bhi teri dast-nigar hai ki jo thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.