wahi zamin wahi dur aasmanon ke
vahī zamīn vahī duur āsmānoñ ke
dinoñ kī baat nahīñ khel haiñ zamānoñ ke
diyā-salā.ī kī tiilī bhī ab Darātī hai
nazāre yaad haiñ jalte hue makānoñ ke
hamāre paañv kī zanjīr bante jaate haiñ
saje-sajā.e hue silsile dukānoñ ke
zamīn baal barābar nahīñ hamāre naam
banāte rahte haiñ naqshe na.e makānoñ ke
udaas kar gayā vo 'as.ad'-e-javānā-marg
ki is aziiz meñ kuchh taur the divānoñ ke
wahi zamin wahi dur aasmanon ke
dinon ki baat nahin khel hain zamanon ke
diya-salai ki tili bhi ab Daraati hai
nazare yaad hain jalte hue makanon ke
hamare panw ki zanjir bante jate hain
saje-sajae hue silsile dukanon ke
zamin baal barabar nahin hamare nam
banate rahte hain naqshe nae makanon ke
udas kar gaya wo 'asad'-e-jawana-marg
ki is aziz mein kuchh taur the diwanon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.