wahin pe gham hai jahan par KHushi paDi hui hai
vahīñ pe ġham hai jahāñ par ḳhushī paḌī huī hai
aur un ke biich meñ bhī dushmanī paḌī huī hai
nimaT luuñ us se to sochūñgā apne baare meñ
abhī to mere gale zindagī paḌī huī hai
nigāh mujh pe karegā zarūr dasht-e-junūñ
zarā sī ḳhaak mire sar meñ bhī paḌī huī hai
jo baat ho na sakī us kī baat kī jaa.e
vo baat jo ki abhī an-kahī paḌī huī hai
maiñ is liye bhī nahīñ kholtā vo almārī
purāne kapḌoñ meñ dīvāngī paḌī huī hai
wahin pe gham hai jahan par KHushi paDi hui hai
aur un ke bich mein bhi dushmani paDi hui hai
nimaT lun us se to sochunga apne bare mein
abhi to mere gale zindagi paDi hui hai
nigah mujh pe karega zarur dasht-e-junun
zara si KHak mere sar mein bhi paDi hui hai
jo baat ho na saki us ki baat ki jae
wo baat jo ki abhi an-kahi paDi hui hai
main is liye bhi nahin kholta wo almari
purane kapDon mein diwangi paDi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.