wahm jaisi shukuk jaisi chiz
vahm jaisī shukūk jaisī chiiz
umr hai bhūl-chūk jaisī chiiz
kaise rakkheñ zamīr ko mahfūz
peT meñ le ke bhuuk jaisī chiiz
ghol dī hai ġhazal ke lahje meñ
maiñ ne koyal kī kuuk jaisī chiiz
dard ban kar tirī judā.ī kā
dil meñ uThtī hai huuk jaisī chiiz
kaash hotī hasīn logoñ meñ
koī husn-e-sulūk jaisī chiiz
maslahat kī binā pe log 'salīm'
chaaT lete haiñ thuuk jaisī chiiz
wahm jaisi shukuk jaisi chiz
umr hai bhul-chuk jaisi chiz
kaise rakkhen zamir ko mahfuz
peT mein le ke bhuk jaisi chiz
ghol di hai ghazal ke lahje mein
main ne koyal ki kuk jaisi chiz
dard ban kar teri judai ka
dil mein uThti hai huk jaisi chiz
kash hoti hasin logon mein
koi husn-e-suluk jaisi chiz
maslahat ki bina pe log 'salim'
chaT lete hain thuk jaisi chiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.