wahm ke jabr ke mare hue insanon par
vahm ke jabr ke maare hue insānoñ par
āgahī tanz kiyā kartī hai afsānoñ par
koī uftād na aa jaa.e sitam-rānoñ par
zau-fishāñ sub.h kā parcham hai shabistānoñ par
ḳhvāb-e-doshīñ se musāfir na kahīñ jaag paḌeñ
zulm ne rok lagā dī hai hudī-ḳhvānoñ par
ai mirī ābla-pā.ī ye batā de mujh ko
rang lahrā.eñge kis roz bayābānoñ par
na Darā gardish-e-daurāñ se javāñ mardoñ ko
gard jamtī nahīñ biphre hue tūfānoñ par
ye dil-e-hijr-zada ye tirī yādoñ kā nuzūl
barf jis tarh se girtī hai kuhistānoñ par
aa gayā kashmakash-e-sūd-o-ziyāñ kā hangām
dasht karne lage pathrāv tarab-ḳhānoñ par
ḳhūn-e-dil surḳhī-e-āġhāz-e-bahārāñ hai 'urūj'
rang lahrā.eñge jhulse hue maidānoñ par
wahm ke jabr ke mare hue insanon par
aagahi tanz kiya karti hai afsanon par
koi uftad na aa jae sitam-ranon par
zau-fishan subh ka parcham hai shabistanon par
KHwab-e-doshin se musafir na kahin jag paDen
zulm ne rok laga di hai hudi-KHwanon par
ai meri aabla-pai ye bata de mujh ko
rang lahraenge kis roz bayabanon par
na Dara gardish-e-dauran se jawan mardon ko
gard jamti nahin biphre hue tufanon par
ye dil-e-hijr-zada ye teri yaadon ka nuzul
barf jis tarh se girti hai kuhistanon par
aa gaya kashmakash-e-sud-o-ziyan ka hangam
dasht karne lage pathraw tarab-KHanon par
KHun-e-dil surKHi-e-aghaz-e-bahaaran hai 'uruj'
rang lahraenge jhulse hue maidanon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.