wahshat-e-dast-o-gareban na tujhe hai na mujhe
vahshat-e-dast-o-garebāñ na tujhe hai na mujhe
jur.at-e-dasht-o-bayābāñ na tujhe hai na mujhe
dil ke kahne se abas us kī tamannā kī thī
hasrat-e-rañg-e-bahārāñ na tujhe hai na mujhe
chhoḌ aa.e tirī ḳhātir qafas-e-āfiyyat
raas ab sehn-e-gulistāñ na tujhe hai na mujhe
apnī hī aag meñ jalne kī qasam khaa.ī hai
ḳhvāhish-e-sham-e-farozāñ na tujhe hai na mujhe
yaad aa.ī to faqat chāñd kā chehra dekhā
tāb-e-nūr-e-ruḳh-e-tābāñ na tujhe hai na mujhe
kuchh na kuchh us ne rah-o-rasm nibhā.ī hogī
be-sabab shikva-e-'sultāñ' na tujhe hai na mujhe
wahshat-e-dast-o-gareban na tujhe hai na mujhe
jurat-e-dasht-o-bayaban na tujhe hai na mujhe
dil ke kahne se abas us ki tamanna ki thi
hasrat-e-rang-e-bahaaran na tujhe hai na mujhe
chhoD aae teri KHatir qafas-e-afiyyat
ras ab sehn-e-gulistan na tujhe hai na mujhe
apni hi aag mein jalne ki qasam khai hai
KHwahish-e-sham-e-farozan na tujhe hai na mujhe
yaad aai to faqat chand ka chehra dekha
tab-e-nur-e-ruKH-e-taban na tujhe hai na mujhe
kuchh na kuchh us ne rah-o-rasm nibhai hogi
be-sabab shikwa-e-'sultan' na tujhe hai na mujhe
- Book : Shora-e-London (Pg. 115)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.