wahshat hai be-zari hai
vahshat hai be-zārī hai
shaam bhī kitnī bhārī hai
bāhar ik sannāTā hai
andar āh-o-zārī hai
likh detā huuñ hāl-e-dil
kahne meñ dushvārī hai
dard musībat bechainī
apnī sab se yaarī hai
siina chartā jaatā hai
ḳhvāhish hai yā aarī hai
mere dil ke kamre meñ
yādoñ kī almārī hai
prem nagar kā har banda
jazboñ kā byopārī hai
aap mohabbat kahte haiñ
dhoka hai makkārī hai
soz hai mere lafzoñ meñ
lahje meñ sarshārī hai
sher nahīñ likhtā sāhab
paiham ashk-shumārī hai
wahshat hai be-zari hai
sham bhi kitni bhaari hai
bahar ek sannaTa hai
andar aah-o-zari hai
likh deta hun haal-e-dil
kahne mein dushwari hai
dard musibat bechaini
apni sab se yari hai
sina charta jata hai
KHwahish hai ya aari hai
mere dil ke kamre mein
yaadon ki almari hai
prem nagar ka har banda
jazbon ka byopari hai
aap mohabbat kahte hain
dhoka hai makkari hai
soz hai mere lafzon mein
lahje mein sarshaari hai
sher nahin likhta sahab
paiham ashk-shumari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.