wahshat ke siwa kuchh na mila dar-badari se
vahshat ke sivā kuchh na milā dar-badarī se
baaz aa.e mohabbat kī ham āshufta-sarī se
auroñ kī tarah mujh ko na dīvāna pukāro
tum to ho ḳhabar-dār mirī be-ḳhabarī se
ġhālib hai zamāne meñ ujāle pe siyāhī
har samt añdherā hai tirī jalvagarī se
mumkin ho to kar lījiye vahshat kā mudāvā
dāman kahīñ bach pā.egā is baḳhiya-garī se
ham hī nahīñ thā saarā zamāna tirā lekin
kuchh bhī na milā tujh ko tirī kam-nazarī se
un āñkhoñ ko tū ne bhī kahā nargis-e-bīmār
baaz aa.e 'umar' ham to tirī dīda-varī se
wahshat ke siwa kuchh na mila dar-badari se
baz aae mohabbat ki hum aashufta-sari se
auron ki tarah mujh ko na diwana pukaro
tum to ho KHabar-dar meri be-KHabari se
ghaalib hai zamane mein ujale pe siyahi
har samt andhera hai teri jalwagari se
mumkin ho to kar lijiye wahshat ka mudawa
daman kahin bach paega is baKHiya-gari se
hum hi nahin tha sara zamana tera lekin
kuchh bhi na mila tujh ko teri kam-nazari se
un aankhon ko tu ne bhi kaha nargis-e-bimar
baz aae 'umar' hum to teri dida-wari se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.