waise maine duniya mein kya dekha hai
vaise maiñ ne duniyā meñ kyā dekhā hai
tum kahte ho to phir achchhā dekhā hai
maiñ us ko apnī vahshat tohfe meñ duuñ
haath uThā.e jis ne sahrā dekhā hai
bin dekhe us kī tasvīr banā lūñgā
aaj to maiñ ne us ko itnā dekhā hai
ek nazar meñ manzar kab khulte haiñ dost
tū ne dekhā bhī hai to kyā dekhā hai
ishq meñ banda mar bhī saktā hai maiñ ne
dil kī dastāvez meñ likhā dekhā hai
maiñ to āñkheñ dekh ke hī batlā dūñgā
tum meñ se kis kis ne dariyā dekhā hai
aage sīdhe haath pe ek tarā.ī hai
maiñ ne pahle bhī ye rasta dekhā hai
tum ko to is baaġh kā naam patā hogā
tum ne to is shahar kā naqsha dekhā hai
waise main ne duniya mein kya dekha hai
tum kahte ho to phir achchha dekha hai
main us ko apni wahshat tohfe mein dun
hath uThae jis ne sahra dekha hai
bin dekhe us ki taswir bana lunga
aaj to main ne us ko itna dekha hai
ek nazar mein manzar kab khulte hain dost
tu ne dekha bhi hai to kya dekha hai
ishq mein banda mar bhi sakta hai main ne
dil ki dastawez mein likha dekha hai
main to aankhen dekh ke hi batla dunga
tum mein se kis kis ne dariya dekha hai
aage sidhe hath pe ek tarai hai
main ne pahle bhi ye rasta dekha hai
tum ko to is bagh ka nam pata hoga
tum ne to is shahar ka naqsha dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.