waise to kam hi miyan ahl-e-junun rote hain
vaise to kam hī miyāñ ahl-e-junūñ rote haiñ
dekhne vaale samajhte haiñ ki ḳhuuñ rote haiñ
pūchhne vaale ba-zid haiñ ki batāyā jaa.e
rone vāloñ ko nahīñ yaad ki kyuuñ rote haiñ
mujh se mat pūchh ki tafrīq nahīñ kar saktā
maiñ to hañste hue logoñ ko kahūñ rote haiñ
vo bahut ḳhush hai nayā ghar hai nayā shahr magar
gaañv meñ us kī havelī ke sutūñ rote haiñ
tum ko ham jaise magar ḳhush hī nazar ā.eñge
ye jo ham jaise haiñ āñkhoñ ke darūñ rote haiñ
us kī āñkhoñ ko kahāñ aatā thā ronā 'sāhir'
maiñ ne phir ro ke dikhāyā thā ki yuuñ rote haiñ
waise to kam hi miyan ahl-e-junun rote hain
dekhne wale samajhte hain ki KHun rote hain
puchhne wale ba-zid hain ki bataya jae
rone walon ko nahin yaad ki kyun rote hain
mujh se mat puchh ki tafriq nahin kar sakta
main to hanste hue logon ko kahun rote hain
wo bahut KHush hai naya ghar hai naya shahr magar
ganw mein us ki haweli ke sutun rote hain
tum ko hum jaise magar KHush hi nazar aaenge
ye jo hum jaise hain aankhon ke darun rote hain
us ki aankhon ko kahan aata tha rona 'sahir'
main ne phir ro ke dikhaya tha ki yun rote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.