waise tu mere makan tak tu chala aata hai
vaise tū mere makāñ tak tū chalā aatā hai
phir achānak se tire zehn meñ kyā aatā hai
aaheñ bhartā huuñ ki pūchhe koī aahoñ kā sabab
phir tirā zikr nikaltā hai maza aatā hai
tere ḳhat aaj latīfoñ kī tarah lagte haiñ
ḳhuub hañstā huuñ jahāñ lafz-e-vafā aatā hai
jāte-jāte ye kahā us ne chalo aatā huuñ
ab yahī dekhnā hai jaatā hai yā aatā hai
tujh ko vaise to zamāne ke hunar aate haiñ
pyaar aatā hai kabhī tujh ko batā aatā hai
waise tu mere makan tak tu chala aata hai
phir achanak se tere zehn mein kya aata hai
aahen bharta hun ki puchhe koi aahon ka sabab
phir tera zikr nikalta hai maza aata hai
tere KHat aaj latifon ki tarah lagte hain
KHub hansta hun jahan lafz-e-wafa aata hai
jate-jate ye kaha us ne chalo aata hun
ab yahi dekhna hai jata hai ya aata hai
tujh ko waise to zamane ke hunar aate hain
pyar aata hai kabhi tujh ko bata aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.