wajd ho bulbul-e-taswir ko jis ki bu se
vajd ho bulbul-e-tasvīr ko jis kī bū se
us se gul-rang kā da.avā kare phir kis rū se
sham.a ke rone pe bas saaf hañsī aatī hai
ātish-e-dil kahīñ kam hotī hai chaar aañsū se
ek din vo thā ki takiya thā kisī kā baazū
ab sar uThtā hī nahīñ apne sar-e-zānu se
naz'a meñ huuñ mirī mushkil karo āsāñ yāroñ
kholo ta'vīz-e-shifā jald mire baazū se
shoḳhī-e-chashm kā tū kis kī hai dīvāna 'anīs'
āñkheñ maltā hai jo yuuñ naqsh-e-kaf-e-āhu se
wajd ho bulbul-e-taswir ko jis ki bu se
us se gul-rang ka dawa kare phir kis ru se
shama ke rone pe bas saf hansi aati hai
aatish-e-dil kahin kam hoti hai chaar aansu se
ek din wo tha ki takiya tha kisi ka bazu
ab sar uThta hi nahin apne sar-e-zanu se
naz'a mein hun meri mushkil karo aasan yaron
kholo ta'wiz-e-shifa jald mere bazu se
shoKHi-e-chashm ka tu kis ki hai diwana 'anis'
aankhen malta hai jo yun naqsh-e-kaf-e-ahu se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.