wajd karti ek dua kachche makanon se uThi
vajd kartī ik duā kachche makānoñ se uThī
raushnī tasbīh ke rañgīn dānoñ se uThī
surḳh aafat se muzayyan taḳhta-e-gul kī sahar
shab ko nāranjī qayāmat sham.a-dānoñ se uThī
sabza-o-gul sab achānak nīlgūñ hone lage
yak-ba-yak jab zard maaTī āsmānoñ se uThī
laad laane ke liye sarsabz añgūroñ kā ras
hukm aate hī magas chhatte ke ḳhānoñ se uThī
maiñ suḳhan rab-e-ahad ke fazl se karne lagā
isti.āroñ kī chamak mere ḳhazānoñ se uThī
ghanTiyāñ nāqūs tāshe sab gulāb-e-sub.h haiñ
par sahar-ḳhezī kī ḳhushbū bas azānoñ se uThī
wajd karti ek dua kachche makanon se uThi
raushni tasbih ke rangin danon se uThi
surKH aafat se muzayyan taKHta-e-gul ki sahar
shab ko naranji qayamat shama-danon se uThi
sabza-o-gul sab achanak nilgun hone lage
yak-ba-yak jab zard maTi aasmanon se uThi
lad lane ke liye sarsabz anguron ka ras
hukm aate hi magas chhatte ke KHanon se uThi
main suKHan rab-e-ahad ke fazl se karne laga
istiaron ki chamak mere KHazanon se uThi
ghanTiyan naqus tashe sab gulab-e-subh hain
par sahar-KHezi ki KHushbu bas azanon se uThi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.