wajh-e-shohrat teri aashufta sari meri hai
vaj.h-e-shohrat terī āshufta sarī merī hai
shahr terā hī sahī dar-badarī merī hai
chun liyā laakh ḳhudāoñ meñ parastish ke liye
husn terā hī sahī dīda-varī merī hai
hai ḳhabar mausam-e-saffāk kī ham ko lekin
bārish-e-sañg meñ bhī shīshagarī merī hai
ho ke āzād bhī maiñ qaid qafas hī meñ rahā
haa.e kyā chiiz ye be-bāl-o-parī merī hai
ab to mānūs huuñ is darja ġhamoñ se 'bahzād'
bazm-e-ahbāb meñ bhī nauhagarī merī hai
wajh-e-shohrat teri aashufta sari meri hai
shahr tera hi sahi dar-badari meri hai
chun liya lakh KHudaon mein parastish ke liye
husn tera hi sahi dida-wari meri hai
hai KHabar mausam-e-saffak ki hum ko lekin
barish-e-sang mein bhi shishagari meri hai
ho ke aazad bhi main qaid qafas hi mein raha
hae kya chiz ye be-baal-o-pari meri hai
ab to manus hun is darja ghamon se 'bahzad'
bazm-e-ahbab mein bhi nauhagari meri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.