wakilon ki wakalat kar rahi hun
wakilon ki wakalat kar rahi hun
Syeda Kauzar Munawar Sharqpuri
MORE BYSyeda Kauzar Munawar Sharqpuri
vakīloñ kī vakālat kar rahī huuñ
samajhtī huuñ jahālat kar rahī huuñ
mujhe ma.alūm hai anjām lekin
zamāne se shikāyat kar rahī huuñ
maiñ qaidī huuñ yā qaa.id huuñ tujhe kyā
maiñ har sūrat qayādat kar rahī huuñ
koī samjhe mujhe kaisā bhī ab to
ḳhudā ke ghar ibādat kar rahī huuñ
jahāñ ta.amīr-e-ādam ho rahī thī
vahāñ ab phir sharārat kar rahī huuñ
sunā thā jo vahāñ par maiñ ne 'kausar'
vo kahne kī jasārat kar rahī huuñ
wakilon ki wakalat kar rahi hun
samajhti hun jahaalat kar rahi hun
mujhe malum hai anjam lekin
zamane se shikayat kar rahi hun
main qaidi hun ya qaid hun tujhe kya
main har surat qayaadat kar rahi hun
koi samjhe mujhe kaisa bhi ab to
KHuda ke ghar ibaadat kar rahi hun
jahan tamir-e-adam ho rahi thi
wahan ab phir shararat kar rahi hun
suna tha jo wahan par main ne 'kausar'
wo kahne ki jasarat kar rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.