wal-asr zamana mere matlab ka nahin hai
val-asr zamāna mire matlab kā nahīñ hai
ye ā.ina-ḳhāna mire matlab kā nahīñ hai
kahtī haiñ na lā pā.eñgī ye tāb-e-nazāra
āñkhoñ kā bahāna mire matlab kā nahīñ hai
aa.ī huuñ tire vāste jannat se zamīñ par
varna ye Thikāna mire matlab kā nahīñ hai
is meñ hai mirā sānvī kirdār likhārī
terā ye fasāna mire matlab kā nahīñ hai
ik shaḳhs kī ḳhātir hai ye sab milnā-milānā
vaise vo gharānā mire matlab kā nahīñ hai
jī ḳhuub lagā vahshat-e-bedārī-e-shab meñ
din ḳhvāb suhānā mire matlab kā nahīñ hai
jab mujh se tire baare meñ pūchhegā zamāna
kah dūñgī divāna mire matlab kā nahīñ hai
ehsās kā 'nīlam' jo nahīñ tere bayāñ meñ
lafzoñ kā ḳhazāna mire matlab kā nahīñ hai
wal-asr zamana mere matlab ka nahin hai
ye aaina-KHana mere matlab ka nahin hai
kahti hain na la paengi ye tab-e-nazara
aankhon ka bahana mere matlab ka nahin hai
aai hun tere waste jannat se zamin par
warna ye Thikana mere matlab ka nahin hai
is mein hai mera sanwi kirdar likhaari
tera ye fasana mere matlab ka nahin hai
ek shaKHs ki KHatir hai ye sab milna-milana
waise wo gharana mere matlab ka nahin hai
ji KHub laga wahshat-e-bedari-e-shab mein
din KHwab suhana mere matlab ka nahin hai
jab mujh se tere bare mein puchhega zamana
kah dungi diwana mere matlab ka nahin hai
ehsas ka 'nilam' jo nahin tere bayan mein
lafzon ka KHazana mere matlab ka nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.