dur rah kar na karo baat qarib aa jao
duur rah kar na karo baat qarīb aa jaao
yaad rah jā.egī ye raat qarīb aa jaao
ek muddat se tamannā thī tumheñ chhūne kī
aaj bas meñ nahīñ jazbāt qarīb aa jaao
sard jhoñkoñ se bhaḌakte haiñ badan meñ sho.ale
jaan le legī ye barsāt qarīb aa jaao
is qadar ham se jhijakne kī zarūrat kyā hai
zindagī bhar kā hai ab saath qarīb aa jaao
dur rah kar na karo baat qarib aa jao
yaad rah jaegi ye raat qarib aa jao
ek muddat se tamanna thi tumhein chhune ki
aaj bas mein nahin jazbaat qarib aa jao
sard jhonkon se bhaDakte hain badan mein shoale
jaan le legi ye barsat qarib aa jao
is qadar hum se jhijakne ki zarurat kya hai
zindagi bhar ka hai ab sath qarib aa jao
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 283)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.