meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roe
mirī dāstān-e-hasrat vo sunā sunā ke ro.e
mire āzmāne vaale mujhe aazmā ke ro.e
koī aisā ahl-e-dil ho ki fasāna-e-mohabbat
maiñ use sunā ke ro.uuñ vo mujhe sunā ke ro.e
mirī aarzū kī duniyā dil-e-nā-tavāñ kī hasrat
jise kho ke shādmāñ the use aaj pā ke ro.e
tirī bevafā.iyoñ par tirī kaj-adā.iyoñ par
kabhī sar jhukā ke ro.e kabhī muñh chhupā ke ro.e
jo sunā.ī anjuman meñ shab-e-ġham kī āp-bītī
ka.ī ro ke muskurā.e ka.ī muskurā ke ro.e
meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roe
mere aazmane wale mujhe aazma ke roe
koi aisa ahl-e-dil ho ki fasana-e-mohabbat
main use suna ke roun wo mujhe suna ke roe
meri aarzu ki duniya dil-e-na-tawan ki hasrat
jise kho ke shadman the use aaj pa ke roe
teri bewafaiyon par teri kaj-adaiyon par
kabhi sar jhuka ke roe kabhi munh chhupa ke roe
jo sunai anjuman mein shab-e-gham ki aap-biti
kai ro ke muskurae kai muskura ke roe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.