safha-e-zist jab paDhunga tumhein
safha-e-zīst jab paḌhūñgā tumheñ
der tak chūmtā rahūñgā tumheñ
tum bhale dekhte raho sab ko
maiñ chhupā kar kahīñ rakhūñgā tumheñ
tum bane ho bane raho ḳhushbū
maiñ kisī roz le uḌūñgā tumheñ
raag ho, dil kī dhaḌkanoñ kā raag
sāmne baiTh kar sunūñgā tumheñ
dekhnā dekhte hue mujh ko
kis tarah aañkh meñ bharūñgā tumheñ
jaao chhupte phiro gurez karo
ek din maiñ bhī dekh lūñgā tumheñ
tum bahut duur jā chuke hoge
maiñ kahāñ DhūñDhtā phiruñgā tumheñ
ik din ahmad-'atā' bhī ḳhvāb huā
kah gayā ḳhvāb meñ milūñgā tumheñ
safha-e-zist jab paDhunga tumhein
der tak chumta rahunga tumhein
tum bhale dekhte raho sab ko
main chhupa kar kahin rakhunga tumhein
tum bane ho bane raho KHushbu
main kisi roz le uDunga tumhein
rag ho, dil ki dhaDkanon ka rag
samne baiTh kar sununga tumhein
dekhna dekhte hue mujh ko
kis tarah aankh mein bharunga tumhein
jao chhupte phiro gurez karo
ek din main bhi dekh lunga tumhein
tum bahut dur ja chuke hoge
main kahan DhunDhta phirunga tumhein
ek din ahmad-'ata' bhi KHwab hua
kah gaya KHwab mein milunga tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.