Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare pas aate hain to sansen bhig jati hain

Aalok Shrivastav

tumhaare pas aate hain to sansen bhig jati hain

Aalok Shrivastav

MORE BYAalok Shrivastav

    tumhāre paas aate haiñ to sāñseñ bhiig jaatī haiñ

    mohabbat itnī miltī hai ki āñkheñ bhiig jaatī haiñ

    tabassum itr jaisā hai hañsī barsāt jaisī hai

    vo jab bhī baat kartī hai to bāteñ bhiig jaatī haiñ

    tumhārī yaad se dil meñ ujālā hone lagtā hai

    tumheñ jab gungunātā huuñ to rāteñ bhiig jaatī haiñ

    zamīñ god bhartī hai to qudrat bhī chahaktī hai

    na.e pattoñ aahaT se bhī shāḳheñ bhiig jaatī haiñ

    tire ehsās ḳhushbū hamesha taaza rahtī hai

    tirī rahmat bārish se murādeñ bhiig jaatī haiñ

    tumhaare pas aate hain to sansen bhig jati hain

    mohabbat itni milti hai ki aankhen bhig jati hain

    tabassum itr jaisa hai hansi barsat jaisi hai

    wo jab bhi baat karti hai to baaten bhig jati hain

    tumhaari yaad se dil mein ujala hone lagta hai

    tumhein jab gungunata hun to raaten bhig jati hain

    zamin ki god bharti hai to qudrat bhi chahakti hai

    nae patton ki aahaT se bhi shaKHen bhig jati hain

    tere ehsas ki KHushbu hamesha taza rahti hai

    teri rahmat ki barish se muraden bhig jati hain

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now