aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye zulf agar khul ke bikhar jae to achchha

Sahir Ludhianvi

ye zulf agar khul ke bikhar jae to achchha

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    Interesting Fact

    Film: Kajal (1965)

    ye zulf agar khul ke bikhar jaa.e to achchhā

    is raat taqdīr sañvar jaa.e to achchhā

    jis tarah se thoḌī tire saath kaTī hai

    baaqī bhī usī tarah guzar jaa.e to achchhā

    duniyā nigāhoñ meñ bhalā kyā hai burā kyā

    ye bojh agar dil se utar jaa.e to achchhā

    vaise to tumhīñ ne mujhe barbād kiyā hai

    ilzām kisī aur ke sar jaa.e to achchhā

    ye zulf agar khul ke bikhar jae to achchha

    is raat ki taqdir sanwar jae to achchha

    jis tarah se thoDi si tere sath kaTi hai

    baqi bhi usi tarah guzar jae to achchha

    duniya ki nigahon mein bhala kya hai bura kya

    ye bojh agar dil se utar jae to achchha

    waise to tumhin ne mujhe barbaad kiya hai

    ilzam kisi aur ke sar jae to achchha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye zulf agar khul ke bikhar jae to achchha Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now