waqar-e-ishq baDhane pe tanz karte hain
vaqār-e-ishq baḌhāne pe tanz karte haiñ
kisī ke naaz uThāne pe tanz karte haiñ
maiñ jān-būjh ke jab in ko chhoḌ detā huuñ
shikār mere nishāne pe tanz karte haiñ
ajiib baat hai yaaro har ik zamāne meñ
zamāne vaale zamāne pe tanz karte haiñ
tujhe ḳhabar hī nahīñ hai ai masḳhare kuchh log
tire mazāq uḌāne pe tanz karte haiñ
surūr-e-ishq kā un ko maza nahīñ ma.alūm
jo log niiñd na aane pe tanz karte haiñ
vo jānte haiñ ki mahfil kī aabrū maiñ huuñ
jo mere bazm meñ aane pe tanz karte haiñ
nahīñ hai sher-o-adab se jinheñ lagāv 'zafar'
vo log mere gharāne pe tanz karte haiñ
waqar-e-ishq baDhane pe tanz karte hain
kisi ke naz uThane pe tanz karte hain
main jaan-bujh ke jab in ko chhoD deta hun
shikar mere nishane pe tanz karte hain
ajib baat hai yaro har ek zamane mein
zamane wale zamane pe tanz karte hain
tujhe KHabar hi nahin hai ai masKHare kuchh log
tere mazaq uDane pe tanz karte hain
surur-e-ishq ka un ko maza nahin malum
jo log nind na aane pe tanz karte hain
wo jaante hain ki mahfil ki aabru main hun
jo mere bazm mein aane pe tanz karte hain
nahin hai sher-o-adab se jinhen lagaw 'zafar'
wo log mere gharane pe tanz karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.