vaqār-e-shāh-e-zavil-iqtadār dekh chuke
zuhūr-e-qudrat-e-parvardigār dekh chuke
naqāb khol ke rū-e-nigār dekh chuke
kuchh ek baar nahīñ laakh baar dekh chuke
jahāñ ke aish-o-ġham-e-rozgār dekh chuke
jo dekhtā thā so parvardigār dekh chuke
vo jīte-jī hue iizā se naza.a kī āgāh
jo sadme tere shab-e-intizār dekh chuke
ḳhudā ke vāste ab chhoḌ jism-e-ḳhākī ko
aziyyateñ bahut o jān-e-zār dekh chuke
junūñ ne ḳhuub dikhā.ī bahār-e-jeb-o-kanār
havā meñ uḌte hue taar taar dekh chuke
vo qaul ġhair ko dete haiñ lete haiñ iqrār
tirī taraf ko dil-e-be-qarār dekh chuke
yaqīñ hai ab na kareñ mere qatl meñ tāḳhīr
fasāñ chaTā ke vo ḳhanjar kī dhaar dekh chuke
na Daal pech meñ ḳhātir na ab pareshāñ kar
bahut se dard-e-sar o zulf-e-yār dekh chuke
kare vo zīnat-e-fitrāk yā halāl kare
kahīñ idhar ko bhī vo shahsavār dekh chuke
na pahuñchā ek bhī zarra tumhāre dāman tak
uḌā ke ḳhaak bhī ham ḳhāksār dekh chuke
hue safed-o-siyāh-e-jahān se vāqif
bahut sī gardish-e-lail-o-nahār dekh chuke
kiye haiñ ḳhuub se nazzāre bāġh-e-hastī ke
jahāñ ko bas mire parvardigār dekh chuke
ilāhī tū ne sharaf jis ko āsmāñ pe diyā
vo sar-zamīn bhī ye ḳhāksār dekh chuke
nahīñ hai ek meñ himmat ye vo zamāna hai
ġharīb dekh chuke māl-dār dekh chuke
tahī hai nashsha-e-ulfat se ye ḳhum-e-gardūñ
sharābeñ pī ke tire bāda-ḳhvār dekh chuke
kulāh-e-kaj ko haTā kar dikhā diyā abrū
qasam alī kī khiñchī zul-fiqār dekh chuke
bhalā vo ḳhaak kareñ qasd bazm-e-hastī kā
jo log rāhat-e-kunj-mazār dekh chuke
huā yaqīn farishtoñ ko ḳhāksārī kā
kafan likhā jo ye ḳhatt-e-ġhubār dekh chuke
amāme-bāz jo ye kanThe ghaTTe vaale haiñ
jahāñ meñ jaise haiñ zī-e'tibār dekh chuke
aThā.ī-gīre haiñ sab ja.al-sāz haiñ mufsid
kuchh ek do nahīñ ham to hazār dekh chuke
sivā.e zāt-e-ḳhudā sab ke vāste hai fanā
sabāt-e-hasti-e-nā-pā.edār dekh chuke
qusūr-e-baḳht hai phir jaa.eñ ab agar mahrūm
dar-e-karīm to ummīd-vār dekh chuke
hazār-shukr ki baaqī nahīñ koī hasrat
bahār terī bhī o gul-ezār dekh chuke
najaf ko le ga.e mayyat farishta-e-naqqāl
aziiz khol ke merā mazār dekh chuke
faqīr bhī mutarassid nigāh-e-lutf kā hai
idhar bhī 'rind' mirā shahryār dekh chuke
waqar-e-shah-e-zawil-iqtadar dekh chuke
zuhur-e-qudrat-e-parwardigar dekh chuke
naqab khol ke ru-e-nigar dekh chuke
kuchh ek bar nahin lakh bar dekh chuke
jahan ke aish-o-gham-e-rozgar dekh chuke
jo dekhta tha so parwardigar dekh chuke
wo jite-ji hue iza se naza ki aagah
jo sadme tere shab-e-intizar dekh chuke
KHuda ke waste ab chhoD jism-e-KHaki ko
aziyyaten bahut o jaan-e-zar dekh chuke
junun ne KHub dikhai bahaar-e-jeb-o-kanar
hawa mein uDte hue tar tar dekh chuke
wo qaul ghair ko dete hain lete hain iqrar
teri taraf ko dil-e-be-qarar dekh chuke
yaqin hai ab na karen mere qatl mein taKHir
fasan chaTa ke wo KHanjar ki dhaar dekh chuke
na Dal pech mein KHatir na ab pareshan kar
bahut se dard-e-sar o zulf-e-yar dekh chuke
kare wo zinat-e-fitrak ya halal kare
kahin idhar ko bhi wo shahsawar dekh chuke
na pahuncha ek bhi zarra tumhaare daman tak
uDa ke KHak bhi hum KHaksar dekh chuke
hue safed-o-siyah-e-jahan se waqif
bahut si gardish-e-lail-o-nahaar dekh chuke
kiye hain KHub se nazzare bagh-e-hasti ke
jahan ko bas mere parwardigar dekh chuke
ilahi tu ne sharaf jis ko aasman pe diya
wo sar-zamin bhi ye KHaksar dekh chuke
nahin hai ek mein himmat ye wo zamana hai
gharib dekh chuke mal-dar dekh chuke
tahi hai nashsha-e-ulfat se ye KHum-e-gardun
sharaben pi ke tere baada-KHwar dekh chuke
kulah-e-kaj ko haTa kar dikha diya abru
qasam ali ki khinchi zul-fiqar dekh chuke
bhala wo KHak karen qasd bazm-e-hasti ka
jo log rahat-e-kunj-mazar dekh chuke
hua yaqin farishton ko KHaksari ka
kafan likha jo ye KHatt-e-ghubar dekh chuke
amame-baz jo ye kanThe ghaTTe wale hain
jahan mein jaise hain zi-e'tibar dekh chuke
aThai-gire hain sab jal-saz hain mufsid
kuchh ek do nahin hum to hazar dekh chuke
siwae zat-e-KHuda sab ke waste hai fana
sabaat-e-hasti-e-na-paedar dekh chuke
qusur-e-baKHt hai phir jaen ab agar mahrum
dar-e-karim to ummid-war dekh chuke
hazar-shukr ki baqi nahin koi hasrat
bahaar teri bhi o gul-ezar dekh chuke
najaf ko le gae mayyat farishta-e-naqqal
aziz khol ke mera mazar dekh chuke
faqir bhi mutarassid nigah-e-lutf ka hai
idhar bhi 'rind' mera shahryar dekh chuke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.