waqt aafaq ke jangal ka jawan chita hai
vaqt āfāq ke jañgal kā javāñ chītā hai
merī duniyā ke ġhazāloñ kā lahū piitā hai
ishq ne mar ke svayamvar meñ use jiitā hai
dil sirī-rām hai dilbar kī razā siitā hai
ab bhī ghanshyām hai is dasht kā buuTā buuTā
barg ne aaj bhī insāñ ke liye giitā hai
jagmagātī rahī ashkoñ se shab-e-tār-e-hayāt
dīp-mālā kī tarah daur-e-alam biitā hai
koī lahkā jo sar-e-dār to yazdāñ ne kahā
ibn-e-ādam ne mah-o-sāl kā ran jiitā hai
tujhe sajdoñ ke evaz mil na sakī rūh-e-bashar
ham ne sar de ke ḳhudā.ī kā bharam jiitā hai
waqt aafaq ke jangal ka jawan chita hai
meri duniya ke ghazalon ka lahu pita hai
ishq ne mar ke swayamwar mein use jita hai
dil siri-ram hai dilbar ki raza sita hai
ab bhi ghanshyam hai is dasht ka buTa buTa
barg ne aaj bhi insan ke liye gita hai
jagmagati rahi ashkon se shab-e-tar-e-hayat
dip-mala ki tarah daur-e-alam bita hai
koi lahka jo sar-e-dar to yazdan ne kaha
ibn-e-adam ne mah-o-sal ka ran jita hai
tujhe sajdon ke ewaz mil na saki ruh-e-bashar
hum ne sar de ke KHudai ka bharam jita hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.