waqt aane do chaak si lenge
vaqt aane do chaak sī leñge
abr uThne do ham bhī pī leñge
inqitā-e-ta.alluqāt sahī
apnī himmat huī to jī leñge
tum parastish karo sitāroñ kī
ham sitāroñ se raushnī leñge
mas.ala zindagī kā sīdhā hai
ham mare bhī to zindagī leñge
saañs lene ko yuuñ to lete haiñ
chain kā saañs bhī kabhī leñge
ātish-o-āb leñge shabnam se
aur phūloñ se tāzgī leñge
aisī jur.at kahāñ harīfoñ meñ
jo tirā ġham ḳhushī ḳhushī leñge
waqt aane do chaak si lenge
abr uThne do hum bhi pi lenge
inqita-e-talluqat sahi
apni himmat hui to ji lenge
tum parastish karo sitaron ki
hum sitaron se raushni lenge
masala zindagi ka sidha hai
hum mare bhi to zindagi lenge
sans lene ko yun to lete hain
chain ka sans bhi kabhi lenge
aatish-o-ab lenge shabnam se
aur phulon se tazgi lenge
aisi jurat kahan harifon mein
jo tera gham KHushi KHushi lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.