waqt aisa bhi hai aane wala
vaqt aisā bhī hai aane vaalā
ḳhud bhī ro.egā rulāne vaalā
kuchh bhī ho daad kā haqdār to hai
tiir par tiir chalāne vaalā
mar gayā maiñ to kahoge sab se
haa.e vo ḳhvāb dikhāne vaalā
uf ye ḳhāmoshī kā 'ālam jaise
koī tūfān ho aane vaalā
na sunī aah na aañsū dekhe
kitnā be-mehr thā jaane vaalā
waqt aisa bhi hai aane wala
KHud bhi roega rulane wala
kuchh bhi ho dad ka haqdar to hai
tir par tir chalane wala
mar gaya main to kahoge sab se
hae wo KHwab dikhane wala
uf ye KHamoshi ka 'alam jaise
koi tufan ho aane wala
na suni aah na aansu dekhe
kitna be-mehr tha jaane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.