waqt aisa koi tujh par aae
vaqt aisā koī tujh par aa.e
ḳhushk āñkhoñ meñ samundar aa.e
mere āñgan meñ nahīñ thī berī
phir bhī har samt se patthar aa.e
rāsta dekh na gorī us kā
kab koī shahr meñ jā kar aa.e
zikr suntī huuñ ujāle kā bahut
us se kahnā ki mire ghar aa.e
naam le jab bhī vafā kā koī
jaane kyuuñ aañkh mirī bhar aa.e
waqt aisa koi tujh par aae
KHushk aankhon mein samundar aae
mere aangan mein nahin thi beri
phir bhi har samt se patthar aae
rasta dekh na gori us ka
kab koi shahr mein ja kar aae
zikr sunti hun ujale ka bahut
us se kahna ki mere ghar aae
nam le jab bhi wafa ka koi
jaane kyun aankh meri bhar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.