waqt banjara-sifat lamha ba lamha apna
vaqt banjārā-sifat lamha ba lamha apnā
kis ko mālūm yahāñ kaun hai kitnā apnā
jo bhī chāhe vo banā le use apne jaisā
kisī ā.īne kā hotā nahīñ chehra apnā
ḳhud se milne kā chalan aam nahīñ hai varna
apne andar hī chhupā hotā hai rasta apnā
yuuñ bhī hotā hai vo ḳhūbī jo hai ham se mansūb
us ke hone meñ nahīñ hotā irāda apnā
ḳhat ke āḳhir meñ sabhī yuuñ hī raqam karte haiñ
us ne rasman hī likhā hogā tumhārā apnā
waqt banjara-sifat lamha ba lamha apna
kis ko malum yahan kaun hai kitna apna
jo bhi chahe wo bana le use apne jaisa
kisi aaine ka hota nahin chehra apna
KHud se milne ka chalan aam nahin hai warna
apne andar hi chhupa hota hai rasta apna
yun bhi hota hai wo KHubi jo hai hum se mansub
us ke hone mein nahin hota irada apna
KHat ke aaKHir mein sabhi yun hi raqam karte hain
us ne rasman hi likha hoga tumhaara apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.