waqt bhi tewar badalta jaega
vaqt bhī tevar badaltā jā.egā
dil bhī apnī chaal chaltā jā.egā
rafta rafta 'umr Dhaltī jā.egī
aa.ine kā ruḳh badaltā jā.egā
jazba-e-īsār dil meñ ho agar
mas.aloñ kā hal nikaltā jā.egā
dūriyāñ bhī qurb bantī jā.eñgī
chāñd mere saath chaltā jā.egā
aap ko miltī rahegī raushnī
dil hamārā yuuñ hī jaltā jā.egā
ḳhūn-e-dil apnā ba-nām-e-añgbīñ
apne paimāne meñ Dhaltā jā.egā
us pe mashriq mehrbāñ hogī 'valī'
jo bhī gir gir kar sañbhaltā jā.egā
waqt bhi tewar badalta jaega
dil bhi apni chaal chalta jaega
rafta rafta 'umr Dhalti jaegi
aaine ka ruKH badalta jaega
jazba-e-isar dil mein ho agar
masalon ka hal nikalta jaega
duriyan bhi qurb banti jaengi
chand mere sath chalta jaega
aap ko milti rahegi raushni
dil hamara yun hi jalta jaega
KHun-e-dil apna ba-nam-e-angbin
apne paimane mein Dhalta jaega
us pe mashriq mehrban hogi 'wali'
jo bhi gir gir kar sanbhalta jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.