waqt-e-mayusi hai koi aasra baqi rahe
vaqt-e-māyūsī hai koī aasrā baaqī rahe
ye duā hai āsmānoñ par ḳhudā baaqī rahe
kuchh to ho logoñ ke pathrīle savāloñ kā javāb
us ke hoñToñ par mirī tarz-e-navā baaqī rahe
kuchh to ho banjar zamīnoñ ke sulagne kā sila
dasht ke sar par koī kaalī ghaTā baaqī rahe
jaane vāloñ ke liye kis ne lagā.ī ye sadā
rāste kho jaa.eñ lekin hausla baaqī rahe
āñdhiyoñ ke sāmne rakh de jo apne sab charāġh
maiñ nahīñ to koī mujh sā dūsrā baaqī rahe
kitnī tahrīreñ sajī haiñ vaqt kī dīvār par
kaun kah saktā hai kyā miT jaa.e kyā baaqī rahe
waqt-e-mayusi hai koi aasra baqi rahe
ye dua hai aasmanon par KHuda baqi rahe
kuchh to ho logon ke pathrile sawalon ka jawab
us ke honTon par meri tarz-e-nawa baqi rahe
kuchh to ho banjar zaminon ke sulagne ka sila
dasht ke sar par koi kali ghaTa baqi rahe
jaane walon ke liye kis ne lagai ye sada
raste kho jaen lekin hausla baqi rahe
aandhiyon ke samne rakh de jo apne sab charagh
main nahin to koi mujh sa dusra baqi rahe
kitni tahriren saji hain waqt ki diwar par
kaun kah sakta hai kya miT jae kya baqi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.