waqt-e-ruKHsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nahin
vaqt-e-ruḳhsat aa gayā dil phir bhī ghabrāyā nahīñ
us ko ham kyā kho.eñge jis ko kabhī paayā nahīñ
zindagī jitnī bhī hai ab mustaqil sahrā meñ hai
aur is sahrā meñ terā duur tak saayā nahīñ
merī qismat meñ faqat durd-e-tah-e-sāġhar hī hai
avval-e-shab jaam merī samt vo laayā nahīñ
terī āñkhoñ kā bhī kuchh halkā gulābī rañg thā
zehn ne mere bhī ab ke dil ko samjhāyā nahīñ
kaan bhī ḳhālī haiñ mere aur donoñ haath bhī
ab ke fasl-e-gul ne mujh ko phuul pahnāyā nahīñ
waqt-e-ruKHsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nahin
us ko hum kya khoenge jis ko kabhi paya nahin
zindagi jitni bhi hai ab mustaqil sahra mein hai
aur is sahra mein tera dur tak saya nahin
meri qismat mein faqat durd-e-tah-e-saghar hi hai
awwal-e-shab jam meri samt wo laya nahin
teri aankhon ka bhi kuchh halka gulabi rang tha
zehn ne mere bhi ab ke dil ko samjhaya nahin
kan bhi KHali hain mere aur donon hath bhi
ab ke fasl-e-gul ne mujh ko phul pahnaya nahin
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(kaf-e-aaiinaa) (Pg. 41)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.