waqt-e-ruKHsat jo aankh bhar aai
waqt-e-ruKHsat jo aankh bhar aai
Maqsood Alam Khan Alam Barelvi
MORE BYMaqsood Alam Khan Alam Barelvi
vaqt-e-ruḳhsat jo aañkh bhar aa.ī
dil meñ tasvīr sī utar aa.ī
aatā jaatā rahā ḳhayāl tirā
niiñd hargiz na raat bhar aa.ī
yuuñ to chehre the sāmne lākhoñ
terī sūrat na phir nazar aa.ī
dil tire pyaar se rahā mahrūm
shaam aa.ī kabhī sahar aa.ī
ham bhī de deñge jaan ai 'ālam'
kuchh agar un ke naam par aa.ī
waqt-e-ruKHsat jo aankh bhar aai
dil mein taswir si utar aai
aata jata raha KHayal tera
nind hargiz na raat bhar aai
yun to chehre the samne lakhon
teri surat na phir nazar aai
dil tere pyar se raha mahrum
sham aai kabhi sahar aai
hum bhi de denge jaan ai 'alam'
kuchh agar un ke nam par aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.