waqt-e-ruKHsat meri man ne mera matha chuma
vaqt-e-ruḳhsat mirī maañ ne mirā māthā chūmā
manziloñ ne tabhī baḌh kar mirā talvā chūmā
dī muazzin ko davā niiñd kī aur phir kal shab
ham ne jī bhar ke tumheñ ḳhvāb meñ dekhā chūmā
jis tarah qīmtī shai ko koī muflis dekhe
āñkhoñ āñkhoñ meñ use ham ne sarāhā chūmā
ham ne sochā thā ki sairābī mayassar hogī
tishnagī aur baḌhī hai use jitnā chūmā
ek misre meñ suno vasl kā puurā qissa
az ishā-tā-ba-sahar yaar ko chūmā chūmā
is tarīqe se nahīñ pyaar jatāyā mujh se
jis tarīqe se hai us ne mirā bachcha chūmā
ye badan dasht se gulshan huā āḳhir kaise
aañkh chūmī hai kisī kī ki hai dariyā chūmā
merī āñkhoñ ke ujāloñ kā sabab hai itnā
naam sunte hī mohammad kā añgūThā chūmā
Thiik hone na diyā zaḳhm-e-mohabbat 'āsī'
ham ne tā-umr ise dil se lagāyā chūmā
waqt-e-ruKHsat meri man ne mera matha chuma
manzilon ne tabhi baDh kar mera talwa chuma
di muazzin ko dawa nind ki aur phir kal shab
hum ne ji bhar ke tumhein KHwab mein dekha chuma
jis tarah qimti shai ko koi muflis dekhe
aankhon aankhon mein use hum ne saraha chuma
hum ne socha tha ki sairabi mayassar hogi
tishnagi aur baDhi hai use jitna chuma
ek misre mein suno wasl ka pura qissa
az isha-ta-ba-sahar yar ko chuma chuma
is tariqe se nahin pyar jataya mujh se
jis tariqe se hai us ne mera bachcha chuma
ye badan dasht se gulshan hua aaKHir kaise
aankh chumi hai kisi ki ki hai dariya chuma
meri aankhon ke ujalon ka sabab hai itna
nam sunte hi mohammad ka anguTha chuma
Thik hone na diya zaKHm-e-mohabbat 'asi'
hum ne ta-umr ise dil se lagaya chuma
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.