waqt-e-ruKHsat wo aansu bahane lage
vaqt-e-ruḳhsat vo aañsū bahāne lage
dil dukhāne ke manzar suhāne lage
pursish-e-dard ko jab vo aane lage
zaḳhm-e-dil misl-e-gul muskurāne lage
raat pal bhar ko palkeñ jhapakne na diiñ
subah hote hī āñkheñ churāne lage
aañkh bhar aa.ī barkhā ke paanī kī jab
naav kāġhaz kī bachche bahāne lage
mere aañsū the un kī hañsī kā sabab
roī shabnam to gul muskurāne lage
waqt-e-ruKHsat wo aansu bahane lage
dil dukhane ke manzar suhane lage
pursish-e-dard ko jab wo aane lage
zaKHm-e-dil misl-e-gul muskurane lage
raat pal bhar ko palken jhapakne na din
subah hote hi aankhen churane lage
aankh bhar aai barkha ke pani ki jab
naw kaghaz ki bachche bahane lage
mere aansu the un ki hansi ka sabab
roi shabnam to gul muskurane lage
- Book : Safeer-e-akhir-e-shab(Poetry) (Pg. 75)
- Author : Ram avtar gupta ''muztar''
- Publication : Takhleeqkar Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.