waqt ghamnak sawalon mein na barbaad karen
vaqt ġhamnāk savāloñ meñ na barbād kareñ
kuchh na kuchh sa.i-e-ilāj-e-dil-e-nāshād kareñ
ishq ko husn ke atvār se kyā nisbat hai
vo hameñ bhuul ga.e ham to unheñ yaad kareñ
bastiyāñ kar chuke vīrān tire dīvāne
ab ye lāzim hai ḳharāba koī ābād kareñ
tah meñ go hikmat-e-parvez hai raqsāñ lekin
kaam har ek ba-nām-e-ġham-e-farhād kareñ
hujjat-o-illat-e-mālūl hai yāroñ meñ 'sahar'
be-sabab shai kā bhī koī sabab ījād kareñ
waqt ghamnak sawalon mein na barbaad karen
kuchh na kuchh sai-e-ilaj-e-dil-e-nashad karen
ishq ko husn ke atwar se kya nisbat hai
wo hamein bhul gae hum to unhen yaad karen
bastiyan kar chuke viran tere diwane
ab ye lazim hai KHaraba koi aabaad karen
tah mein go hikmat-e-parwez hai raqsan lekin
kaam har ek ba-nam-e-gham-e-farhad karen
hujjat-o-illat-e-malul hai yaron mein 'sahar'
be-sabab shai ka bhi koi sabab ijad karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.