waqt hai behtarin mar jaen
vaqt hai behtarīn mar jaa.eñ
merā kar leñ yaqīn mar jaa.eñ
ek shā'ir bachā ho duniyā meñ
aur sabhī sāma'īn mar jaa.eñ
ham rakheñ zindagī amānat meñ
zindagī ke amiin mar jaa.eñ
kyā maza ho ki saare dūr-andesh
dekh kar dūrbīn mar jaa.eñ
kaisā bad-shakl hai jahāñ jis meñ
dil-kash-o-dil-nashīn mar jaa.eñ
chaar hī log hoñ kisī ghar meñ
aur un meñ se tiin mar jaa.eñ
apnī baarī kā intizār kareñ
jab jagah de zamīn mar jaa.eñ
waqt hai behtarin mar jaen
mera kar len yaqin mar jaen
ek sha'ir bacha ho duniya mein
aur sabhi sama'in mar jaen
hum rakhen zindagi amanat mein
zindagi ke amin mar jaen
kya maza ho ki sare dur-andesh
dekh kar durbin mar jaen
kaisa bad-shakl hai jahan jis mein
dil-kash-o-dil-nashin mar jaen
chaar hi log hon kisi ghar mein
aur un mein se tin mar jaen
apni bari ka intizar karen
jab jagah de zamin mar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.