waqt ho raha hai phir zau-fishan hatheli par
vaqt ho rahā hai phir zau-fishāñ hathelī par
naqsh haiñ muqaddar kī surḳhiyāñ hathelī par
mahram-e-basīrat thā dil meñ gaḌ ga.iiñ āḳhir
roktā bhalā kab tak barchhiyāñ hathelī par
sar-burīda logoñ kā in dinoñ paḌosī huuñ
aur uThā.e phirtā huuñ āshiyāñ hathelī par
ab ke bhī nahīñ aayā abr-o-bād kā mausam
buuñd ko tarastī haiñ sīpiyāñ hathelī par
jab gharoñ ke āñgan meñ chāñdnī bikhartī hai
ḳhūn-e-dil sajātī haiñ laḌkiyāñ hathelī par
sehn-e-gul kī raunaq haiñ qaid kar nahīñ sakte
rañg chhoḌ jaatī haiñ titliyāñ hathelī par
pattharoñ se Takrā kar chuur ho gayā 'sāġhar'
ham sajā.e phirte haiñ kirchiyāñ hathelī par
waqt ho raha hai phir zau-fishan hatheli par
naqsh hain muqaddar ki surKHiyan hatheli par
mahram-e-basirat tha dil mein gaD gain aaKHir
rokta bhala kab tak barchhiyan hatheli par
sar-burida logon ka in dinon paDosi hun
aur uThae phirta hun aashiyan hatheli par
ab ke bhi nahin aaya abr-o-baad ka mausam
bund ko tarasti hain sipiyan hatheli par
jab gharon ke aangan mein chandni bikharti hai
KHun-e-dil sajati hain laDkiyan hatheli par
sehn-e-gul ki raunaq hain qaid kar nahin sakte
rang chhoD jati hain titliyan hatheli par
pattharon se Takra kar chur ho gaya 'saghar'
hum sajae phirte hain kirchiyan hatheli par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.