waqt kai bosida kaghaz pe raqam hone ko hai
vaqt kai bosīda kāġhaz pe raqam hone ko hai
lamha-e-maujūd agle pal jo kam hone ko hai
merī vahshat se kabhī sairāb thā dasht-e-junūñ
ab mirī dīvāngī kā sar qalam hone ko hai
us ke jānib-dār haiñ saare mirā koī nahīñ
al-madad ai dil sar-e-pindār ḳham hone ko hai
zehn kahtā hai ziyāda vaqt legā kār-e-ishq
dil to kahtā hai ajī bas ek dam hone ko hai
ik nayā tarz-e-sitam ījād karnā hai use
ik na.ī tarkīb se mujh pe sitam hone ko hai
ai ḳhudā-e-mai-kada merī madad ko jald aa
terā banda āshiq-e-dair-o-haram hone ko hai
zindagī kuchh roz se kyuuñ mehrbāñ hai be-sabab
kyā kisī āshob kā ham pe karam hone ko hai
khīñch laa.ī jānib-e-dariyā hameñ bhī tishnagī
ab gulū-e-ḳhushk kā ḳhanjar pe ram hone ko hai
waqt kai bosida kaghaz pe raqam hone ko hai
lamha-e-maujud agle pal jo kam hone ko hai
meri wahshat se kabhi sairab tha dasht-e-junun
ab meri diwangi ka sar qalam hone ko hai
us ke jaanib-dar hain sare mera koi nahin
al-madad ai dil sar-e-pindar KHam hone ko hai
zehn kahta hai ziyaada waqt lega kar-e-ishq
dil to kahta hai aji bas ek dam hone ko hai
ek naya tarz-e-sitam ijad karna hai use
ek nai tarkib se mujh pe sitam hone ko hai
ai KHuda-e-mai-kada meri madad ko jald aa
tera banda aashiq-e-dair-o-haram hone ko hai
zindagi kuchh roz se kyun mehrban hai be-sabab
kya kisi aashob ka hum pe karam hone ko hai
khinch lai jaanib-e-dariya hamein bhi tishnagi
ab gulu-e-KHushk ka KHanjar pe ram hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.