waqt ke dasht mein chaunke hue aahu ki tarah
vaqt ke dasht meñ chauñke hue aahū kī tarah
ham pareshān azal se rahe ḳhushbū kī tarah
band darvāzoñ ke andar jo huī thī ik baat
shahr meñ phail ga.ī phuul kī ḳhushbū kī tarah
shab kī tanhā.ī meñ naġhma sā bikhar jaatā hai
sūkhe pattoñ meñ ik āvāz hai ghuñghrū kī tarah
ik hasīñ jism ko āġhosh meñ bharne ke liye
aarzū phailī huī hai kisī baazū kī tarah
hijr kā dard ka.ī sadiyoñ se baiThā hai 'sabā'
dil ke pīpal kī ghanī chhāñv meñ sādhū kī tarah
waqt ke dasht mein chaunke hue aahu ki tarah
hum pareshan azal se rahe KHushbu ki tarah
band darwazon ke andar jo hui thi ek baat
shahr mein phail gai phul ki KHushbu ki tarah
shab ki tanhai mein naghma sa bikhar jata hai
sukhe patton mein ek aawaz hai ghunghru ki tarah
ek hasin jism ko aaghosh mein bharne ke liye
aarzu phaili hui hai kisi bazu ki tarah
hijr ka dard kai sadiyon se baiTha hai 'saba'
dil ke pipal ki ghani chhanw mein sadhu ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.