Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ke har ek naqsh ka mani itna badla badla hoga

Ahmad Faqih

waqt ke har ek naqsh ka mani itna badla badla hoga

Ahmad Faqih

MORE BYAhmad Faqih

    vaqt ke har ik naqsh ma.anī itnā badlā badlā hogā

    mere vahm-o-gumān meñ kab thā ishq manzar aisā hogā

    aaj mujhe apnī āñkhoñ se us ke qurb ḳhushbū aa.ī

    merī nazar se us ne shāyad apne-āp ko dekhā hogā

    lams ke is kore tālāb meñ chāñd pahlā aks tumhī ho

    kaise nūr-jahānī sur meñ kis kis se vo kahtā hogā

    sub.h sunahrī kyuuñ hai itnī shaam meñ itnī laalī kyuuñ hai

    vaqt ne shāyad terī aañkh shabnam se muñh dhoyā hogā

    aaj maiñ ā.īne meñ apnī sūrat tak pahchān na paayā

    soch rahā huuñ mujh se ziyāda kaun is shahr meñ tanhā hogā

    chhoḌ 'faqīh' ye honī sur anhonī taan lagāo

    honī meñ hai koī hunar kyā honī ko to honā hogā

    waqt ke har ek naqsh ka mani itna badla badla hoga

    mere wahm-o-guman mein kab tha ishq ka manzar aisa hoga

    aaj mujhe apni aankhon se us ke qurb ki KHushbu aai

    meri nazar se us ne shayad apne-ap ko dekha hoga

    lams ke is kore talab mein chand ka pahla aks tumhi ho

    kaise nur-jahani sur mein kis kis se wo kahta hoga

    subh sunahri kyun hai itni sham mein itni lali kyun hai

    waqt ne shayad teri aankh ki shabnam se munh dhoya hoga

    aaj main aaine mein apni surat tak pahchan na paya

    soch raha hun mujh se ziyaada kaun is shahr mein tanha hoga

    chhoD 'faqih' ye honi ka sur anhoni ki tan lagao

    honi mein hai koi hunar kya honi ko to hona hoga

    Source :
    • Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 616)
    • Author : Dr. Jawaz Jafri
    • Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now