waqt ke naKHun se yaaden hain kuchh khurchi huin
waqt ke naKHun se yaaden hain kuchh khurchi huin
Sanjay Kumar Kundan
MORE BYSanjay Kumar Kundan
vaqt ke nāḳhūn se yādeñ haiñ kuchh khurchī huiiñ
ek purānā sā makāñ dīvār-e-jāñ jhaḌtī huiiñ
tū-tū maiñ-maiñ kāmyābī aur koshish meñ ġhazab
haaT par jiyūñ kuchh purānī būḌhiyāñ laḌtī huiiñ
kuchh na.e qadmoñ ko gum-gashta Thikānoñ kī talāsh
kuchh guzashta āhaTeñ tai fāsla kartī huiiñ
zehn ne apnī giraftoñ meñ liyā hai dil ko jyuuñ
umr kī dahlīz par bad-ma.āshiyāñ chaḌhtī huiiñ
jo ḳhayālī the pulāo zā.iqa un kā liyā
ab dimāġhoñ ke kitchen meñ hāñDiyāñ ulTī huiiñ
jo mile tārīf un kī had se ziyāda kar diyā
jā rahīñ pahle kī vo bebākiyāñ chiḌhtī huiiñ
yaad thī kamre se ġhā.eb aur tasavvur jā-ba-jā
dil munazzam hī thā 'kundan' dhaḌkaneñ bikhrī huiiñ
waqt ke naKHun se yaaden hain kuchh khurchi huin
ek purana sa makan diwar-e-jaan jhaDti huin
tu-tu main-main kaamyabi aur koshish mein ghazab
haT par jiyun kuchh purani buDhiyan laDti huin
kuchh nae qadmon ko gum-gashta Thikanon ki talash
kuchh guzashta aahaTen tai fasla karti huin
zehn ne apni girafton mein liya hai dil ko jyun
umr ki dahliz par bad-maashiyan chaDhti huin
jo KHayali the pulao zaiqa un ka liya
ab dimaghon ke kitchen mein hanDiyan ulTi huin
jo mile tarif un ki had se ziyaada kar diya
ja rahin pahle ki wo bebakiyan chiDhti huin
yaad thi kamre se ghaeb aur tasawwur ja-ba-ja
dil munazzam hi tha 'kundan' dhaDkanen bikhri huin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.