vaqt ke regzār se nikle
mar ga.e to shumār se nikle
kyā zarūrī hai raushnī ke liye
chāñd hī zulf-e-yār se nikle
vāsta thā kisī mohabbat kā
gul tah-e-ḳhār-zār se nikle
ḳhuub guzrā thā din judā.ī kā
ham shab-e-intizār se nikle
ishq Thahrā huā hai raste meñ
husn bhī intishār se nikle
aa.ina jab banā liyā 'āsim'
aks qurb-o-javār se nikle
waqt ke regzar se nikle
mar gae to shumar se nikle
kya zaruri hai raushni ke liye
chand hi zulf-e-yar se nikle
wasta tha kisi mohabbat ka
gul tah-e-KHar-zar se nikle
KHub guzra tha din judai ka
hum shab-e-intizar se nikle
ishq Thahra hua hai raste mein
husn bhi intishaar se nikle
aaina jab bana liya 'asim'
aks qurb-o-jawar se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.