waqt ke sath sath chalna tha
vaqt ke saath saath chalnā thā
ḳhud ko thoḌā bahut badalnā thā
is meñ ġhalatī ghaḌī kī thoḌī hai
vaqt thā vaqt par nikalnā thā
us kī fitrat pe tanz mat kiije
rang girgiT ko to badalnā thā
sab phisalte haiñ is javānī meñ
kahne vaale tujhe sañbhalnā thā
tark-e-ulfat kī kyā zarūrat thī
gar tumheñ zā.iqa badalnā thā
waqt ke sath sath chalna tha
KHud ko thoDa bahut badalna tha
is mein ghalati ghaDi ki thoDi hai
waqt tha waqt par nikalna tha
us ki fitrat pe tanz mat kije
rang girgiT ko to badalna tha
sab phisalte hain is jawani mein
kahne wale tujhe sanbhalna tha
tark-e-ulfat ki kya zarurat thi
gar tumhein zaiqa badalna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.