waqt ki aankh se kuchh KHwab nae mangta hai
vaqt kī aañkh se kuchh ḳhvāb na.e māñgtā hai
dil mirā ek duā raat ga.e māñgtā hai
ek āvāz tah-e-āb bulātī hai mujhe
ishq mujh se bhī vahī kachche ghaḌe māñgtā hai
dard kahtā hai kisī sā.at-e-tanhā meñ rahūñ
ik makāñ gahre samundar se pare māñgtā hai
zabt chāhe use ruḳhsat kī ijāzat mil jaa.e
ashk āñkhoñ se mohabbat ke sile māñgtā hai
dasht dar dasht liye phirtā hai mujh ko ye junūñ
imtihāñ ishq meñ kuchh aur kaḌe māñgtā hai
waqt ki aankh se kuchh KHwab nae mangta hai
dil mera ek dua raat gae mangta hai
ek aawaz tah-e-ab bulati hai mujhe
ishq mujh se bhi wahi kachche ghaDe mangta hai
dard kahta hai kisi saat-e-tanha mein rahun
ek makan gahre samundar se pare mangta hai
zabt chahe use ruKHsat ki ijazat mil jae
ashk aankhon se mohabbat ke sile mangta hai
dasht dar dasht liye phirta hai mujh ko ye junun
imtihan ishq mein kuchh aur kaDe mangta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.