waqt ki chaak pe taKHliq nai chahti hai
vaqt kī chaak pe taḳhlīq na.ī chāhtī hai
zindagī aur zarā kūza-garī chāhtī hai
ek dahlīz hai jo paañv pakaḌ letī hai
ek laḌkī hai ki jo apnī ḳhushī chāhtī hai
aao ro leñ ki in āñkhoñ se zarā dhuup chhaTe
shaam kā vaqt hai ye miTTī namī chāhtī hai
pyaas kā khel dikhāne meñ koī harj nahīñ
mas.ala ye hai ki is baar nadī chāhtī hai
ishq parvān pe hai aao bichhaḌ jaa.eñ ham
ye taqāzā bhī hai duniyā bhī yahī chāhtī hai
ik nazar faaqe pe baiThī hai ka.ī haftoñ se
jaane kis yār-e-sitamgar kī galī chāhtī hai
waqt ki chaak pe taKHliq nai chahti hai
zindagi aur zara kuza-gari chahti hai
ek dahliz hai jo panw pakaD leti hai
ek laDki hai ki jo apni KHushi chahti hai
aao ro len ki in aankhon se zara dhup chhaTe
sham ka waqt hai ye miTTi nami chahti hai
pyas ka khel dikhane mein koi harj nahin
masala ye hai ki is bar nadi chahti hai
ishq parwan pe hai aao bichhaD jaen hum
ye taqaza bhi hai duniya bhi yahi chahti hai
ek nazar faqe pe baiThi hai kai hafton se
jaane kis yar-e-sitamgar ki gali chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.